Popular Posts

Tuesday, February 26, 2013

Aaj phir un ka deedar karne ko jee chahta hai
Aaj phir un se pyaar karne ko jee chahta hai


Rahte toh wo bohat door hain hum se
Aaj phir un k paas jane ko jee chahta hai
 
Kitni shiddat hai chahat ki piyas main
Aaj phir pie kar mar jane ko jee chahta hai
 

Mat pucho kitni mushkil se guzarte hain din aur raat
Aaj phir un ki banhon me toot k bekhar jane ko jee chahta hai


चलो एक और दुनिया में , तुम्हारे साथ चलते हैं ...
जहाँ हालात कुछ भी हो , मगर हम साथ रहते हों ...!!
जहां मौसम कोई भी हो , जुदाई का न हो लेकिन ...!!
जहां चाँद भी तुम हो , जहां सूरज , हवा , रौशनी , खुशबुओं का रंग तुमसे हो ...!!
जहाँ पर दिल धडकने का , हर एक एहसास तुम से हो ...
जहां पर मेरे जीने की सारी आस तुमसे हो ...
चलो एक और दुनिया में , तुम्हारे साथ चलते हैं ....

Monday, February 25, 2013

By :KHUSHBU E HEENA / MERI HAR SAANS TERE LIYE.



KHUSHBU E HEENA
MERI HAR SAANS TERE LIYE.
HAR AAHEN TERE LIYE.
DIL KI BAATEN TERE LIYE.
HAR JAZBAAT TERE LIYE.

NIGAAHON MEI RAUSHNI CHHUPAAUN MAI TERE LIYE.
ISHQ O MUHABBAT TERE LIYE.

PURAB KI PAHLI KIRAN SE RANG CHURAKAR MAANG SAJAAUN MAI TERE LIYE.

SITAARON KI MALA MAI PAHNU TERE LIYE.

KALIGHATAA SE PALKEN SAWAROON TERE LIYE.

ASMAANI RANG LEKAR AANCHAL ODHU MAI TERE LIYE.

HASNAA RONA TERE LIYE.
JEENA MARNA TERE LIYE.

SAARI UMAR TUJHPAR NISAAR KAR DOON.
ZAMAANE KI HAR THOKAR SAH LOON
TERE LIYE.

TU KISI GAIR KI HAI SHAYAD

PHIRBHI

YE KHUSHI TERE LIYE
YE MUSKAAN TERE LIYE

HAATHON KI KHUSHRANG HEENA TERE LIYE.
HEENA KI KHUSHBOO AKHIR TERE LIYE.....

¤~ KHUSHBOO ~¤
Like ·  · 

Khushboo E Heena shared ღ A World of Flowers for You ღ's photo. RAAT KO MAI NADI KE KINAARE BAITHE HUE THE.



Khushboo E Heena shared ღ A World of Flowers for You ღ's photo.
RAAT KO MAI NADI KE KINAARE BAITHE HUE THE.
ASMAN MEI CHAAND BAHAT MAYUS THE.

HUMNE KAHA__ BAAT KYA HAI? ITNA UDAASI KIS LIYE?!
KAHNE LAGE__ NA KOI DOST, NA HUMSAFAR, TANHA HAI HUM__ JIYE TO KISKE LIYE!!

HUMNE KAHA__ AAS-PADOS MEI ITNE TAARE!!
USNE KAHA__ APNE AAP MEI KHOYE HUE HAI SAARE..

HUMNE KAHA__ MUD KAR TO DEKHO!! KOI HAI, TUMHE RAUSHAN KARTE HAI JO!!

KYA YE PYAR NAHI?
SURAJ KE BARE MEI SOCHA HAI KABHI?!

KHUSHI SE WO KHILNE LAGE
BAHTE HUE PANI MEI USKE PARCHHAAI JHUMNE LAGE..

HUMSE WO PUCHHA__ KYA TUMHARA KOI SATHI NAHI?
KYA KOI TUMHE CHAHTA NAHI??

HUM HASS DIYE__ KUCHH PAL CHUP RAHI.

KAHA USE__ HAI EK FARISTA
JINHONE HUMEN JEENA SIKHAYA..

DOOR RAHKAR BHI DIL KE QARIB HAI WO
HUMSAFAR, MERA HUMRAAZ HAI WO..

CHAAND KO ALVIDA KAHA HUM HASTE HUE
NEEND KHUL GAYE__ KHWAB MEI BHI TUMHE SOCHTE HUE.....


BADNAAMI by Khushboo E Heena on Friday, 22 February 2013 at 21:43 ·

BADNAAMI
by Khushboo E Heena on Friday, 22 February 2013 at 21:43 ·
ZALIMne Phir BEWAFA Ka KHITAAB Se Nawaza Hai. 

Waqt Gawaan Hai__ Saanse Kam Aur Unke Khayaalon Mei Lamhen Guzarte Rahe Hum. 

Shikayat Karte Rahe Wo__ Kabhi Meri Muhabbat Ka Jazbaan Na Dekha.

AARZOO Ye Thi, Unse BEPANAAH MUHABBAT Karen.

Unke JUSTJOO Liye Hum Dam Bharte Rahe.

Gila To Sirf Khud Apne DIL Se Hai.

Aoron Par ILZAAM Tarasha Nahi Karte Hai HUM.....

Khushboo E Heena / MAYUS THE HUM, USKE AWAAZ K LIYE TARASTE RAHE.


Khushboo E Heena
MAYUS THE HUM, USKE AWAAZ K LIYE TARASTE RAHE.
KHOON E JEEGAR ASHQ BANKAR BARASTE RAHE.

KHUDA'NE AAKAR KAHA__

KIUN ITNA DARD SAHTI HAI..!!
SATH CHAL, TUJHE LENE AYE HAI..

HUMNE KAHA__

BAQSH DO HUMEN, WO RAHE NAHI PAYEGA..
DIWANA HAI, SABKUCHH TABAAH KAR DEGA...

MATHE PAR SHIKAN LIYE KHUDA'NE KAHA__

NADAAN!! TUJHE ITNA PYAAR KARNA KISNE SIKHAYA HAI.!!
KYA HAI USMEI, JO MUJHMEI NAHI HAI..!!!

HUMNE HASKAR KAHA__

MERE SIVA TUMHARE PASS TO SAB KUCHH HAI.
MUHABBAT KE SIVA USKE PASS AUR KUCHH BHI NAHI HAI.....

¤~ KHUSHBOO ~¤